kya bachche suljhe hote hain jab gend se uljhe hote hain wo is liye mujh ko bhate hain din bite yaad dilate hain wo kitne hasin basere the jab dur ghamon se dere the jo khel mein hail hota tha nafrin ke qabil hota tha har ek se ulajh kar rah jaana ruk ruk ke bahut kuchh kah jaana hans dena baaton baaton par barsat ki kali raaton par baadal ki subuk-raftari par bulbul ki aah-o-zari par aur shama ki lau ki garmi par parwanon ki hat-dharmi par duniya ke dhande kya jaanen aazad ye phande kya jaanen masum faza mein rahte the hum to ye samajh hi baithe the khushiyon ka alam anjam nahin duniya mein khizan ka nam nahin mahaul ne khaya phir palta nagah taghayyur aa jhapta aur us ki karam-farmai se haalat ki ek angdai se aa pahunche aise bedon mein jo le gae hamein thapedon mein bachpan ke suhane sae the sae mein zara sustae the wo daur-e-muqaddas bit gaya ye waqt hi bazi jit gaya ab waise mere haalat nahin wo chiz nahin wo baat nahin jine ka safar ab dubhar hai har gam pe sau sau thokar hai wo dil jo ruh-e-qarina tha aashaon ka ek khazina tha is dil mein nihan ab nale hain taron se ziyaada chhaale hain jo hansna hansana hota hai rone ko chhupana hota hai koi ghuncha dil mein khilta hai thoda sa sukun jab milta hai gham tez qadam phir bharta hai khushiyon ka taaqub karta hai main sochta rahta hun yunhi aakhir ye tafawut kya mani ye soch ajab tadpati hai aaankhon mein nami bhar jati hai phir mujh se dil ye kahta hai mazi ko tu rota rahta hai kuchh aahen dabi si rahne de kuchh aansu baqi rahne de ye haal bhi mazi hona hai is par bhi tujhe kuchh rona hai