us ke dhagon mein dil ke khazane nihan us ke phulon mein dariya-e-ulfat rawan ye bahan bhai ki chahaton ka nishan ye hai rakhi ka bandhan mere bhaiyo is ki taswir mein hai ajab bankpan is ki tarikh mein ekta ka chalan is ki azmat ka qail hai sara chaman ye hai rakhi ka bandhan mere bhaiyo sirf bandhan nahin ek paiman hai bhaiyon ke dilon ka ye iman hai apni bahnon pe har bhai qurban hai ye hai rakhi ka bandhan mere bhaiyo ki humaun ne raksha jo mewad ki dushmanon ko har ek mod par mat di raksha bandhan hi ki ye karamat thi ye hai rakhi ka bandhan mere bhaiyo