garmiyon ke mausam mein laltain ki aag senkte hain to thanda bulb muskuraata hai aur hamari bebasi par munh chidata hai bahut si haddiyan khaal ke thaile mein padi chubhti rahti hain rozana kai kutte khurak ki talash mein masruf kachre ke dher pe ek dusre par ghurraate hain zamin ke baalon mein kanghi karti garm sard hawaen khayalon ki purani deg mein bas marte khwab kolhuon ki bhatti ke pas jalta sard khun aahen bharti pairon mein bikhri siskiyan anjaan sadak pe udhda pada la-waris pet jise ajnabi shoabada-baz hansi ki thokaren mar kar guzar jate hain