raat ke andhere mein kitne pap palte hain puchhta phire koi kis se kaun papi hai puchhne se kya hasil puchhne se kya hoga mahshar ek bapa hoga shor-e-narawa hoga dard kam to kya hoga aur kuchh siwa hoga kaun kis ki sunta hai kis ko itni fursat hai dad khwah banna bhi feal-e-be-fazilat hai dad samm-e-qatil hai marna kis ko bhata hai taur-e-zindagi sahab raat ka nirala hai raat ke andhere mein kitne pap palte hain kitne sanp palte hain chaar-su uchhalte hain chhediye to phunkaren chhodiye to daste hain dhit ban ke phirte hain sanp kis se darte hain log darte phirte hain log bachte phirte hain khamushi ke ghaaron mein khamushi se chhupte hain ek dusre ka munh bebasi se takte hain shama ek jalane par kaisi kaisi pabandi nur par bhi pabandi tur par bhi pabandi sau tarah ki pabandi shama kaise jal pae kis mein itni jurat hai maut se ulajh jae yas dil se kahti hai maslahat badi shai hai maslahat isi mein hai qufl daliye lab par josh lakh bahlae kuchh na laiye lab par yas ek budhiya hai tajarbe se kahti hai log qadr karte hain maslahat isi mein hai maslahat pe chalte hain khairiyat isi mein hai raat badhti jati hai raat badhti jati hai raat ke andhere mein kuchh nazar nahin aata raat badhti jati hai hosh badhta jata hai dard badhta jata hai josh badhta jata hai raat ke andhere mein kuchh nazar nahin aata tirgi nazar mein hai dil ka haal dil mein hai dil ke lakh goshon mein lakh shamen jalti hain maslahat ki zanjiren dam-ba-dam pighalti hain dam-ba-dam khamoshi se raat ke andhere mein raat badhti jati hai raat katti jati hai raat ke andhere mein kuchh nazar nahin aata