ba-mushkil ek hairani ko aankhon se nikala tha ki phir ek aur hairani ye basti kaisi basti hai jahan par mera har ek khwab hairani ki ek chadar ko odh so raha hai aur tahayyur ki qaba pahne hue hain ashk sare aur yahan tak ki hamare ishq ne bhi hijr ke ek sang par jo lafz likkha hai wo hairat hai wahi ek lafz jo ab mere dil ke aaine se barsar-e-paikar hai aur kaun jaane aaina baqi rahega ya hamare ishq ki hairat