kis se puchhun wo kya shakhs hai jo meri aarzu ke jharokon mein thahre hue sare chehron mein bikhra hua hai magar khud abhi apne chehre mein utra nahin kis se puchhun wo kya nam hai jo meri dhadkanon ke muqaddar mein marqum hai aur wo kya ajnabi hai jo sadiyon se mere khayalon ke qarye mein aabaad hai magar mera surat-shanasa nahin kis ki aawaz hai! jo meri ruh mein naghma-parwaz hai kaun batlaega us nagar ka pata jis ki mitti ki khushbu mere jism ke waste durj hai, jis ke diwar-o-dar meri be-khwab aankhon se manus hain aur jis ko kabhi main ne dekha nahin na-rasai meri na-rasai miri! jis ko paya na tha us ko khone ka gham meri khwahish ke sine ka nasur hai kis ko aawaz dun kis ka matam karun wo abhi apne chehre mein utra nahin kis se puchhun mera muddaa kaun hai! na-rasa kaun hai!