yak-o-tanha hawadis ki hawaen sarsaraati hain koi fanus aandhi aai shamen bujhti jati hain hawadis ki hawa se shama bachti hai na parwane to phir ye ek mashal kaise raushan hai khuda jaane sahar-dam samne rahti hai waqt-e-sham jalti hai kaleja kholta hai raushni us se nikalti hai ubalte dil ki garmi gah aa jati hai honton par badan jis se jhulas jate hain dariyaon ke sahil par shafaq ke rang badh jate hain kitne shokh hote hain faza mein zarre takraate hain tare tut jate hain khalaon mein farishte daudne lagte hain paighambar manazir ke shagufe phutte hain de ke apna sar garajte megh ke hathi hain ran mein hun barasta hai barahna jism jo tapta tha yun sairab hota hai utho ai aandhiyo kali ghataen sath mein lao faza muddat se gard-alud hai kuchh meinh barsao zamana ke samundar mein bahut si sipiyan munh khole takti hain hamari nazninon ke gale ghutne lage masnui haaron se ghire hain aaj bhi ghanghor baadal aandhiyan bhi aati jati hain garaj hai ghan hai dar hai jhut hai sach sahma jata hai magar hai raushni phir bhi agar kam-kam hai paiham hai hamari bastiyon mein jo nahin hai apna dam-kham hai batao hum manare kyon nahin bante