![](http://cdn.pagalshayari.com/images/nazm/rah-o-rasm-e-ashnai-mustafa-zaidi-nazm-english.jpg)
zamin nai thi, falak na-shanas tha jab hum teri gali se nikal kar su-e-zamana chale nazar jhuka ke ba-andaz-e-mujrimana chale chale ba-jeb-e-darida, ba-daman-e-sad-chaak ki jaise jins-e-dil-o-jaan ganwa ke aae hain tamam naqd-e-siyaadat luta ke aae hain jahan ek umr kati thi, isi qalam-rau mein shanakht ke liye har shahrah ne toka har ek nigah ke neze ne rasta roka jahan jale the tere husn-e-atishin ke kanwal wahan alaw to kya, rakh ka nishan bhi na tha charagh-e-kushta-e-mahfil dhuan dhuan bhi na tha musafirat ne pukara nae ufuq ki taraf agar wafa ki shariat ka ye sila hoga nae ufuq se taaruf ke baad kya hoga
Please share if you liked this!!!