ye kis janam mein hum dobara mile hain ye khat rang qad sab mujhe jaante hain mere lams se aashna hain main bhatka hun kitne sarabon mein sahraon mein kai karwan mujh se aage gae un ke naqsh-e-kaf-e-pa abhi mushtail hain abhi dhul ne un pe chadar bichai nahin hai mujh se pichhe nae karwanon ki gard uda rahi hai kuchh jiyale jawan taza-dam tez-rau aur main waqt ki rahguzar ka wo tanha musafir jo har qafile se alag rah-rawon se alag ajnabi samt yun chal raha hai ki us ke siwa koi surat nahin hai tahayyur se paida masarrat ke aansu liye is tarah hum mile jaise pahle kabhi mil chuke the kaun se karwan se bhatakti hui tum dobara idhar aa gai ho tumhein kaun si manzil-e-zindagi ki talab hai tumhaari ragon mein bhi meri ragon ki tarah kitni sadiyon ka khun kitni naslon ka khun maujzan hai aur ye sari naslen shikasta magar unchi diwar ki tarah istada hain yunhi kab talak phone par baat karte rahenge yunhi fasla jism ka lams ka ek rishta faqat saut-o-awaz ka ye rishta bhi hissa hai gunge safar ka jo kab tut jae kise ye pata hai kash ye rishta-e-saut-o-awaz hi daimi ho ki gunge safar ke sabhi silsile aarzi hain