phir wahi badhte hue rukte hue qadmon ki chap phir wahi sahmi hui simti hui sargoshiyan phir wahi bahki hui mahki hui si aahaten phir wahi gati si lahraati si kuchh madhoshiyan zindagi tufan thi sailab thi bhaunchaal thi waqt phir bhi karwaton par karwaten leta raha qafile is rah par aate rahe jate rahe rahbar sab ko masafat ka sila deta raha wo tabassum jis ko rote hain kai ujde suhag ban raha hai ek lachakta khar apne panw mein wo nazar jo kal talak har jism ko dasti rahi aaj sustane lagi hai maslahat ki chhanw mein kitni ummidon ke madfan us ke hathon ban chuke kitne armanon ke lashe us ne khud kafnae hain aah ye maqtal ki jis ke pasbani ke liye! kitne mustaqbil fana ke dosh par lahrae hain kulfaton se tang aa kar be-khudi ki khoj mein qafile is rah par aate rahen jate rahen rahbar sab ko masafat ka sila deta rahe rah-rau apne tajassus ka sila pate rahen