khujuron se mahki hui sham thi shutur par mal o asbab tha aur main ek sarae ke dar par khada raat karne ko ek boriye ka talabgar tha timtimati hui shama ki lau mein ibn-e-tamama ka saya (jo mahaul ghere hue tha) use dekh kar yun laga jaise wo raushni phankta ho qawi-ul-jasamat haris aankh se lahza lahza tapakti kamini khushi bhaw-taw mein choukas choukas asa aur latki hui rish (do azdahon ki tarah) wo sarae ki gandi faza ko mahakta hua khuld kahta musafir diram aur dinar de kar wahan khwab karte mujhe umm-e-laila ki farmaish kha gai hain zamane ka shutur aan pahuncha hai aise kuon tak jahan tel hai main magar aaj bhi is sarae mein ibn-e-tamama se baaten kiye ja raha hun abhi umm-e-laila ki kuchh hasraten aur bhi hain