sar-nigun sabz jhandi ka halka pharera fazaon mein lahra gaya bench par os mein bhige patton ki chadar ko jhonke uda le gae rail ki ptriyon par udasi ki gunjen badan ki surangon se yak-lakht bahar nikalne lagin whistle bajne lagi rail chalne lagi dil-girafta musafir kai manzilon ki aziyyat ke paikar mein dhalne lage ek man ne duaon se labrez boson-bhari thaaliyon ko kisi jang par gamzan apne bete ki jholi mein ulta diya ek aurat ki chhati pe sadiyon ki thahri hui ek udasi ke be-jaan pahiye guzarne lage do baras ke farishte ke aansu gire whistle bajne lagi khushnuma zindagi ke dupatte jawan auraton ke saron se dhalakne lage be-rida ek ladki ne khakistari bag pakde hue dur kheton mein khamosh logon ko rukhsat kiya ek nai mauj phir se darida badan mein ubharne lagi ek rauzan se dohri hawaon ke jhonke guzarne lage bhid ki be-khayali bhari rail mein phir ubalne lagi ek thandi udasi usi bench par phir utarne lagi whistle bajne lagi rail chalne lagi