shair

sari duniya sau rahi hai aur tu bedar hai
dur hai rahat se aur lazzat-kash-e-azar hai

le raha hai zarre zarre se tu ibrat ka sabaq
yani har har gam par hota hai sina tera shaq

teri nazren dekhti hain intiha aaghaz mein
mahw ho jata hai jab tu inkishaf-e-raaz mein

zahiri ranj-o-alam se dil tera begana hai
inkishaf-e-raaz-e-yazdani ka to diwana hai

muztarib hoti hai teri ruh lahren dekh kar
tu samajhta hai unhin se kya hai anjam-e-bashar

dekh kar phulon ko rota hai kabhi tu zar zar
wajd mein karta hai apna hi gareban tar tar

qatra-e-shabnam hain goya ek kitab-e-zindagi
dekhta hai jis ko to padh padh ke khwab-e-zindagi

to hai akkas-e-azal fitrat mein teri dard hai
go ba-zahir khush hai lekin lab pe aah-e-sard hai

tu ne fitrat ke sabaq ko phir se dohraya yahan
aashkara kar diye jo raaz the ab tak nihan

fitrat-e-khwabida ko bedar kar deta hai tu
zindagi se aish ki bezar kar deta hai tu

mast ho jata hai tu abr-e-siyah ko dekh kar
chashmakon se barq ki leta hai tu kya kya asar

ai ki teri zat se hai raunaq-e-bazm-e-jahan
ai ki hasti hai teri sarmaya-dar-e-kun-fakan

ai ki teri zat se hai raunaq-e-bazm-e-shuhud
ai ki tere rang se har shai mein hai rang-e-numud

tu na hota to na hota ye jahan-e-rang-o-bu
tu na hota to na hoti husn ki kuchh aabru

tu na hota to na hote munkashif raaz-e-hayat
tu na hota to na hota naqsh-e-fani ko sabaat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close