gharib kisan

ai nature ke raj dulare
ai fitrat ki aankh ke tare

mehnat ka phal pane wale
kandhe par hal le jaane wale

sadiyan palten duniya badle
ya mulkon ka naqsha badle

kuchh se kuchh hon rang faza ke
charkh se barsen aag ke shoale

dhimi ho ya tund hawa ho
aalam har wadi ka naya ho

charkh hazaron palte khae
kya mumkin jo tujh ko satae

sare jahan mein jang chhidi ho
duniya bhar mein aag lagi ho

kyon ho shorish teri sada mein
amn ho jab kheton ki faza mein

git hi tera naghma-e-shadi
tujh par sadqe har aazadi

sab par hawi himmat teri
sachchi hai ye shaukat teri

waqt ko tu ghaflat mein na khoe
khet mein tu kanton ko na boe

ghas hai tera bistar-e-makhmal
odhne ko bosida kamal

jangal jhadi basti teri
shah se behtar hasti teri

tu hai aur zamana tera
hum hain aur fasana tera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close