rangon ka taqaddus

mujhe sab khabar hai
use bhi pata hai ki

ab wusaton mein nahin aur kuchh bhi
faqat wusaten hain

hamein rangon ka indrjali taqaddus
uthae uthae

safar ki saubat yun hi jhelni hai
khabar hai ki

khushbu ka aakar kuchh bhi nahin hai
pata hai ki

lams ek qaba dhundhta hai
nafas nezon hi par

hawaon ke sar ko
uthae uthae

yun hi ghumta hai
jab tak

kamin-gah se wo na niklen
khushbu ke khwabon ki fitrat na badle

rangon ka ye indrjali
taqaddus na tute

sab kuchh pata hai
magar mutmain hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close