fitna-e-khufta jagae us ghadi kis ki majal qaid hain shahzadiyan koi nahin pursan-e-haal in gharibon ki madad par koi aamada nahin ek shaer hai yahan lekin wo shahzada nahin aahuon ki surmagin palken faza par hukmaran chhai hain arz o sama par aahinin si jaliyan dur se kohsar o wadi par ye hota hai guman unt hain baithe hue utra hua hai karwan ya asar hain aasman-e-pir par barsat ke khema-e-bosida mein paiwand hain banat ke aur is kheme ke andar zindagi soi hui tirgi soi hui tabindagi soi hui ai 'hafiz' in nind ke maton ki manzil se nikal kaam hai darpesh dam-e-dida-o-dil se nikal dida-o-dil ko bhi ghaflat ke shabistan se nikal ye jo khamoshi ki zanjiren hain in ko tod dal subh karne ke liye phir haw-hu darkar hai shukr kar soti hui duniya mein tu bedar hai