nach han nach ki har shorish-o-hangama par phail jae teri jhan-jhan ka hasin pairahan nach han nach ki sine mein tere ek moti ki tarah raaz zamane ka simat kar rah jae bazuon ko kabhi hone de daraaz jama karne de khad-o-khal kabhi apni hasin aankhon ko farsh-e-awaz pe rakh apne pur-asrar qadam aur chamakte hue sangit ka jadu pi ja nach sad-nashsha-o-shadabi se nachti ja isi masti mein ki tu ek kanwal ban jae aur tujh ko kisi talab ke sine mein utar aaen hum bhut aa kar teri rangat mein basera kar len aur hum budhe darakhton ki kuhan-sal latakti hui shakhon se lipat kar roen sal-ha-sal lipat kar roen