bahut se log mujh mein mar chuke hain kisi ki maut ko waqe hue bara baras bite kuchh aaise hain ki tis ek sal hone aae hain ab jin ki rahlat ko idhar kuchh sanehe taza bhi hain hafton mahinon ke kisi ki hadsati maut achanak be-zamiri ka natija thi bahut se dab gae malbe mein diwar-e-ana ke aap hi apni mare kuchh rabton ki khushk-sali mein kuchh aaise bhi ki jin ko zinda rakhna chaha main ne apni palkon par magar khud ko jinhon ne meri nazron se gira kar khud-kushi kar li bacha paya na main kitnon ko sari koshishon par bhi rahe bimar muddat tak mere baatin ke bistar par bil-akhir faut ho baithe gharon mein daftaron mein mahfilon mein raston par kitne qabristan qaem hain main jin se roz hi ho kar guzarta hun ziyarat chalte-phirte maqbaron ki roz karta hun