wo shishe ka bulb aur koi us ke andar bahut hanpta gol diwaron ko jaldi jaldi khurachta phisalta hai girta hai uthta hai fauran musalsal khurachte hi jata hai lekin use dar hai sar par latakta hua dhati lachha kahin jal utha to use bhun dega magar itni wahshat mein us ko khabar kya ki lachha salamat na ab barqi-rau us ke taron mein baqi diwaren khurachte khurachte use shishe ke qaid-khane mein be-jaan lachchhe se darna nahin hai ab us bulb ke tar mein barqi-rau hi nahin hai