kisi guman ka saya na shak ki parchhain sarab hai na jharoka nazar ki rahon mein yaqin hai ki andhera faqat andhera hai fareb-e-nur koi bhi nahin nigahon mein na intizar ke mani na sabr ke paiman kisi disha mein ufaq bhi nazar nahin aata siyahi kali sahi raushnai hai phir bhi na aae gar koi waraq-e-sahar nahin aata andhera jitna jawan hai bharose-mand utna usi ke dam se charagh-e-khayal raushan hai irade dil ki tapish le ke jagmagate hain rah-e-jawab pe husn-e-sawal raushan hai chalo sitaron ko khojen jala ke mishal-e-dil ufaq nahin hai to jugnu qatar band karen sahar ki chah jawan hai to dhundh len suraj nahin mile koi suraj kiran kiran se bunen yaqin hai ki andhera faqat andhera hai siyahi kali sahi raushnai hai phir bhi irade dil ki tapish le ke jagmagate hain