mehrban nazuk ridaon ki tahon mein narm bahon ki panahon mein hai raqsan ye zamin wo ek sipar ban kar jhulasne se bacha leti hain us ko naghma-gar saiqal fazaen sabz resham ki qaba pahne zamin hathon mein thame nastaran nargis saman nazuk tahon mein zindagi hai kis qadar mahfuz lekin lahza lahza har parat madum hoti ja rahi hai! ek din jab aakhiri tah ki sipar hogi shikasta mehrban ozone ki chadar mein lipti ye zamin jab be-qaba ho jaegi to arghawani aag mohlik ungliyon se us ki shadabi ko apni aanch mein jhulsae-gi aur ye dhuan ban kar khalaon mein udegi!