gir gaya ye dudh ka paimana mere hath se ho gai ek laghzish-e-mastana mere hath se yun zamin par ja gira hathon se mere chhut kar gir pade gardun se jaise koi tara tut kar ghash use aaya kuchh aisa kha ke chakkar gir pada hath se mai-khwar ke kyun aaj saghar gir pada shakh-e-gul se farsh par bulbul tadap kar gir gai ye gira niche ki mujh se chashm-e-saqi phir gai jis tarah sine ke andar qalb-e-muztar be-qarar ho gaya hathon mein mere ye bhi aa kar be-qarar mere bais apni qismat ko ye aakhir ro gaya aai ek aawaz jhan si aur thanda ho gaya us ke girne se yahan ek chot dil par aa gai jo mujhe kuchh kah gai batla gai sikhla gai yani hum bhi dast-e-qudrat mein misal-e-jam hain aur giraftar-e-bala-e-gardish-e-ayyam hain jam wo mashhur hai jo zindagi ke nam se jo bhara hai shir-e-rahat se mai-e-alam se ek din is hath se bhi chhut kar rah jaega is katore ki tarah jo tut kar rah jaega