hamari pyari zaban urdu hamari naghmon ki jaan urdu hasin dilkash jawan urdu zaban wo dhul ke jis ko ganga ke jal se pakizgi mili hai awadh ki thandi hawa ke jhonke se jis ke dil ki kali khili hai jo sher-o-naghma ke khuld-zaron mein aaj koyal si kukti hai isi zaban mein hamare bachpan ne maon se loriyan suni hain jawan ho kar isi zaban mein kahaniyan ishq ne kahi hain isi zaban ko chamakte hiron se ilm ki jholiyan bhari hain isi zaban se watan ke honton ne nara-e-inqilab paya isi se angrez hukmaranon ne khud-sari ka jawab paya isi se meri jawan tamanna ne shaeri ka rabab paya ye apne naghmat-e-pur-asar se dilon ko bedar kar chuki hai ye apne naron ki fauj se dushmanon pe yalghaar kar chuki hai sitamgaron ki sitamgari par hazar-ha war kar chuki hai koi batao wo kaun sa mod hai jahan hum jhijak gae hain wo kaun si razm-gah hai jis mein ahl-e-urdu dubak gae hain wo hum nahin hain jo badh ke maidan mein aae hon aur thithak gae hain ye wo zaban hai ki jis ne zindan ki tirgi mein diye jalae ye wo zaban hai ki jis ke shoalon se jal gae phansiyon ke sae faraaz-e-dar-o-rasan se bhi hum ne sarfaroshi ke git gae kaha hai kis ne hum apne piyare watan mein bhi be-watan rahenge zaban chhin jaegi hamare dahan se hum be-sukhan rahenge hum aaj bhi kal ki tarah dil ke sitar par naghma-zan rahenge ye kaisi baad-e-bahaar hai jis mein shakh-e-urdu na phal sakegi wo kaisa ru-e-nigar hoga na zulf jis par machal sakegi hamein wo aazadi chahiye jis mein dil ki mina ubal sakegi hamein ye haq hai hum apni khak-e-watan mein apna chaman sajaen hamari hai shakh-e-gul to phir kyun na us pe hum aashiyan banaen hum apne andaz aur apni zaban mein apne git gaen kahan ho matwalo aao bazm-e-watan mein hai imtihan hamara zaban ki zindagi se wabasta aaj sud o ziyan hamara hamari urdu rahegi baqi agar hai hindostan hamara chale hain gang-o-jaman ki wadi mein hum hawa-e-bahaar ban kar himaliya se utar rahe hain tarana-e-abshaar ban kar rawan hain hindostan ki rag rag mein khun ki surkh dhaar ban kar hamari pyari zaban urdu hamari naghmon ki jaan urdu hasin, dilkash jawan urdu