basti ki bimar gali mein shahnai jab jab gunji hai man ne aksar mujh se kaha hai tum bhi apna byah racha lo main ghar ke kone mein baitha shor sun raha hun shahron ka ghayal nadiyon ki lahron ka parbat par baitha ek jogi apni aankhen band kiye mujh par hansta hai aur wo mustaqbil ki aurat kabhi sarasar zahr ugalti kabhi anokha zahar nigalti pit rahi hai chat rahi hai chhati meri dariya jangal parbat sahra shor hai kitna andar bahar pal pal jaise kude laga rahi hai khwahish sadiyon ke pyase neze paiwast hue phir sukhi aur be-rang ragon mein khun ke ek qatre ki khatir sadiyon ki rahen tai karna koi mushkil kaam nahin hai bahr-e-kashakash ke sahil par rahat patthar tod rahi hai mauj-e-tamanna chattanon se apna matha phod rahi hai main ghar ke kone mein baitha shor sun raha hun mamta ka han ab main soch raha hun aisa koi ras rachaun amman ki budhi chhati par ek naya sadma ban jaun