mez par akhbar ke phaile waraq bikhre bikhre tera tera chaak chaak dhal gai hai qalib-e-alfaz mein sina-e-hasti ki aah-e-dardnak pas hi diwar ko teke hue radio garm-e-sukhan mahw-e-bayan chikhti hain jama-e-awaz mein khun ke chhinte lahu ki bundiyan sham reading room ki maghmum sham chand kan elanchi ki baat par chand aankhen soch mein dubi huin murtakiz akhbar ke safhat par ek kamre mein simat kar aa gae kitne dukhdon ke sada-paikar huruf kitne dardon ke mistar zamzame kitne andhe gyani bahre falyasuf phir bhi kuchh idrak mein aata nahin kya hai raqs-e-gardish-e-ayyam kya ek shikasta naw ek khuni bhanwar kya hai is afsane ka anjam kya ye mufakkir kuchh samajh sakte nahin chhat ke niche rauzanon ke darmiyan gol gol aankhon ke andar mahw-e-did kale pare ki muraqqas putliyan kash ye hairan kabutar jaante khufta hai un kaghazon ki satah par kitne phanakte aashiyanon ka dhuan kitne nakhchiron ki aahon ke sharar hain in aawazon ke andar par-kusha kitne kargas jin ko murdaron ki bu khinch lai hai sar-e-diwar-e-bagh chhat ke niche muztarib nazzara-khu fikrmand aankhon mein hairan putliyan ye kabutar dekhte thakte nahin dekhte hain sochte hain kya karen ye mufakkir kuchh samajh sakte nahin
Please share if you liked this!!!