jaane kitne hi raaten hongi jaane kitne hi din honge jo tumhaari bedari aur nind mein chae ki pyaliyon mein aur mohabbat karne walon ke dilon mein zinda hain main tumhaari aawaz to ab bhi sun raha hun kai dinon se mera phone jo band raha wo ab meri ruh mein khul gaya hai aur hamari ruhon ke darmiyan koi fasla nahin kaun kahta hai ki tumhein duniya pasand nahin aai to tum ne duniya chhod di abhi to tashkil ke kai safhat ki tartib baqi hai abhi to tumhein bahuton ke zamir par pade hue parde uthane hain abhi to shiba owen mein jo cake tayyar kar rahi hai use khana baqi hai abhi to injala tum se meri jo shikayat karne wali hai ki main ne ye nahin kiya main ne wo nahin kiya goya tumhaare mashwaron par nae sire se kan dharna hai abhi to kai kaam baqi hain bhabhi ko banarsi siwaiyan tayyar karni hain abhi to tasir tausif aur शरजील tumhaari aawaz sunne ke muntazir hain abhi to mahbub-'khizan' tumhein abad-ul-abaad ke liye cigarette chhodne ka mashwara dene wale hain main tumhaari aawaz to ab bhi sun raha hun bagh-o-bahaar aadmi to kabhi nahin marta tumhaari bagh-o-bahaar aawaz to main ab bhi sun raha hun