kash urdu hi mein ho sare dafatir ka hisab kash taqriren karen urdu mein sab izzat-maab kab talak rakhiyega angrezi mein talimi nisab qaum ke bachchon ke haq mein ye hai ek zehni azab kab talak ye kah ke qismat se rahen hum shikwa-sanj ranj ka khugar hua insan to mit jata hai ranj ghaur kije kaise is talim ne paya riwaj kis liye hami the is ke sahiban-e-takht-o-taj kaun si dushwariyan thin jin ka socha ye ilaj thi clerkon ki hukumat ko nihayat ehtiyaj dars-gahen thin pa angrezi padhe babu na the daftari gadi chalane ke liye yabu na the raushni afrang se is mulk mein aai na thi zauq-e-khidmat ne rag-o-pai mein jagah pai na thi pet bharne ke liye ye nasiya-sai na thi aur abhi taswir-e-jaanan hum ne banwai na thi yani b-a ki sanad sadha sifarish ki nuqul arziyon ke sath daftar mein na hoti thin qubul ab ye haalat hai ki roti ek aur bhuke hazar baith kar parde ke pichhe khinch sakta hai jo tar wo to ho jata hai munh mein le ke roti ko farar baqi-manda phir wahi umid-war umid-war aap is haalat mein is talim ko de kar riwaj muflisi ka kar rahe hain homeopathic ilaj