nazm kaun likhta hai wo jo malal mein mubtala hai ya wo jo jashn manana bhul gaya hamare pas tumhaari di hui saughat hai barson purani hum ne use purane saman ke sath saint ke rakkha hai dusron ki nazron se chhupa kar koi dekhega nahin koi nahin hum jaante hain agar hum nahin bhi jaante phir bhi ye to khufiya wardat hai ye wo nahin hai jaise tum kude ke dher se utha lo chand roti ke tukdon ke liye malal ki kitni qismen hain ginoge to ginte rah jaoge hum jis aabaadi mein rahte hain ye wahan ki pahchan hai use hum ne apne bachchon ki pahunch se dur rakhne ki puri koshish ki ye soch kar ki wo kya sochenge kis thaali mein khaen