rup-nagar ki shahzadi

khwab ek khwab mein jo dekha hai
hai takhayyul kahaniyon jaisa

qissa-e-husn-o-ishq ki tamsil
kakul-e-shab jawaniyon jaisa

guzre waqton ki ek kawita ho
khali mahlon mein dhundhti ho kise

le ke hathon mein pyar ki zanjir
khali nazron se puchhti ho kise

nind mein sochti hui aankhen
jagte mein rahin jo soi si

jaane kis samt chal pade hain qadam
bhuli-bisri ada wo khoi si

jaane kyun sukh na mil saka tujh ko
khali jholi rahi wafaon ki

dil-e-barbaad jhelta hi raha
rut na badli kabhi jafaon ki

log kahte hain husn ki taswir
aisi taswir jo adhuri thi

fasla rah gaya jo tha dil mein
hath-bhar ki faqat ye duri thi

waqt ke aasman par jaanam
tare angar se chamakte hain

yaad rakhta hai un ko ek jahan
daman-e-ishq par jo jalte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close