jab ret ka sahra dekh ke dar jata hai adib ka sina bhi wo lamhe aksar aate hain jab zehn ke sare parde atke atke se rah jate hain jab shor machati shakh-e-zaban se sare parinde mar mar ke gir jate hain wo lamhe aksar aate hain jab aawazon ke pinjar apne sukhe sukhe hath liye mere sar par chha jate hain aur main ghabra sa jata hun ek qabristan ki tanhai ek be-mani khali rasta aur do panw ki khali khali thaki thaki si chap to apne-ap se bhi dar jata hun jab ret ka sahra dekh ke dar jata hai qalam ka sina bhi wo lamhe aksar aate hain