ghazab ki tapish hai ghutan is qadar dil mein bahte lahu ki jagah aag phunkne lagi hai so rag rag mein chingariyan hain sulagti hui surkh aankhon mein aansu nahin halka halka dhuan hai kisi nim-khwabida aatish-fishan ke dahane se lawa ubalne ko bechain hai shahr ka shahr luqma bane aag ka dher ho rakh ka is se pahle agar mera ek mashwara ahl-e-darbar ko bar-e-khatir na ho likhne walon ke hathon mein de do qalam lafz ki bediyan khol do