main kya jaanun kaun hai suraj kis nagri ka basi hai kaisa sar-chashma hai jis se jiwan dhaara bahti hai main kya jaanun kaun hai baadal kyun aawara phirta hai kitne ped hare hote hain kitni kaliyan murjhati hain ek nigah-e-lutf se us ki, us ke ek taghaful se main kya jaanun shab ke gahre sannaton mein kitne tare tut gae hain kitni palken bhig chuki hain kitne aansu khushk hue hain sadiyon ke malbe ko hata kar dekho kitni ruhen apne apne panjar dhund rahi hain main kya jaanun kya hai duniya insanon ki basti hai ya ek sara-e-fani hai main to abhi bistar se utha hun aur meri aankhon mein ab tak khwab ka sara manzar hai mera pota chand mein baitha apne bete se kahta hai dekho wo dharti hai us mein dada-abba rahte the
Please share if you liked this!!!