ye dastan ka siyah samundar ki jis ki maujen meri sada hain jo mere andar azal ki sab khamushi samete abad ki har tirgi chhupae dhadak raha hai wahi khamoshi jo harf ka asl zaiqa hai wahi andhera jo har ujale ki ibtida hai ye ruh-e-naghma ye saz-e-hasti yahi haqiqat yahi guman hai isi se mera wajud mumkin isi se tashkil-e-do-jahan hai main is muqaddas ghane samundar se qatra qatra nae fasane nikalta hun main is ke gambhir paniyon ko guman ke paikar mein dhaalta hun magar ye sayyal suraten jo maal hain meri koshishon ka main in ko pahchanta nahin hun kahan se ubhre hain naqsh in ke ye raaz main jaanta nahin hun hun khaliq-e-kaenat lekin khuda nahin hun