aaj phir ghat mein baitha hai samundar ka sukut hum ko ek dusre se dur hi rahna hoga hum ko har haal mein majbur hi rahna hoga mujh ko is daur-e-jarahat se guzar jaane de mujh ko jine ki tamanna nahin mar jaane de meri taqdir mein gham hain to koi baat nahin mujh ko zulmat ki guphaon mein utar jaane de tu na ghabra ki tere husn ki mishal le kar tere hamrah kabhi tere bichhaune ke qarib raat bhar dhum machaega mere jism ka bhut aaj phir ghat mein baitha hai samundar ka sukut zarf baqi na koi azm-e-nihan baqi hai sirf ehsas ke chehre pe dhuan baqi hai koi saya hai na sathi hai na mahfil koi dilkashi khatm hai phir kyun ye jahan baqi hai ye jahan jis mein sab atraf tabahi ke nishan surat o shakl pe zakhmon ki tarah phaile hain aur har zakhm hai insan ki wahshat ka subut aaj phir ghat mein baitha hai samundar ka sukut talkh tanhai ka ek dard liye chehre par le ke phirta hun main zakhmon ke diye chehre par ruh majruh jabin zakhm-zada dil ghail phir bhi hansta hun nai aas liye chehre par zindagi hai ki kisi shah ki begam jis ko waqt bazar mein laya hai barhana kar ke aur khamosh hain tahzib o tamaddun ke saput aaj phir ghat mein baitha hai samundar ka sukut waqt kahta hai hamein dur hi rahna hoga hum ko har haal mein majbur hi rahna hoga