sham hui aur suraj duba raat ne apna khema dala dhup kahan ab hai andhiyara saman hai thanda pyara pyara din bhar khub padhe aur khele dekhe is duniya ke mele yaad karo sab din ki baaten kya kya kaam kiye the din mein kis ko mara kis ko luta ladne mein kis ka sar phuta kaam kiya hai nek bhi koi tum ne dua li ek bhi koi nek agar kuchh kaam kiya hai to samjho ye din achchha hai mango apne rab se duaen ya-rab sar se tal balaen sham sawere ka tu malik aur andhere ka tu malik subh bhi tujh se sham bhi tujh se hai in ka anjam bhi tujh se jaise din rahat se guzra guzre yun hi raat bhi maula nam tera main le kar jagun khaun piyun aur daudun bhagun khelun kudun aur padhun main shad rahun aabaad rahun main