main kyun ek kamre mein ek kursi par baitha apne andar chalte chalte thak jata hun bachpan ki taswiren yaaden ghutne mein jo chot lagi thi hath se mitti chhan ke bahte khun ko kaise rok liya tha wo maktab, college, daftar, ghar ubad-khabad raste girte-padte kya batlaun kaise apne ghar aaya hun kin bazaron se guzra hun har chehra tha patthar ka har dukan thi shishe ki har diwar se takraya hun ab apne zakhmon ko ginta hun aur wo choten kahan chhupi baithi hain jin ka lahu andar hi andar bahta hai ek kursi par baitha diwar-o-dar ko takte ek kaghaz par sahra sahra likhte main apne hi andar chalte chalte thak jata hun!