main thirakti hun sarangiyon ki nai jawedani dhunon par mere babla teri dharti tera ye mohalla kushada rahe tere sayyar ki sari galiyon mein raunaq rahe tere khaliyan mein sabz khushbu rahe tere ashjar par nau-shagufta gulon ki baje bansuri tu parindon ki chahkar se git bunta rahe barishon ke tarannum jo mansukh hon to tere dasht zarron se dariya banen main to sad-guftani husn ko dekh kar hi thirakti rahi teri bainassuturi dhunon par zamin aasman ke jo mabain hain jo khalaon ke uqde zamini bashar kholte hain usi fahm ki phailti wadiyan dekh kar man ke talab mein roz khilti hui khwahishon ke kanwal dekh kar be-kinara khuli samt se panchhiyon ki udanon ke lambi masafat bhare qafile dekh kar main thirakti rahi main khuda ki zuhuri dhunon par thirakti rahi jo khule paniyon ko khafi sahilon se muqaffal kare jo falak-bos parbat ko ism-e-tawazun se qaem kare khol de dasht par abr ke jo khazane jo kale pahadon se jharne nikale zamin par falak se parinde utare mohabbat ki un naddiyon ke kinare thirakti rahi jhil ratti gali ka khula bankpan ho ya kailash ki raqs karti hui dewiyon ke suhane badan main thirakti rahi nakhl-e-nur-o-samar ki ye jalwagari dekh kar mushk puri dhunon par thirakti rahi