na jaane kitne hi mazi ke khwab bikhre hain fasurda bhigi hui sogwar palkon par junun hai ya ki khirad is nigah ka mafhum khala mein dhund raha hai koi na jaane kya nigah dekh rahi hain pare zamane se hai khoya khoya hua ramz-e-zindagi goya fasana-e-gham-e-jaanan hai ya gham-e-duniya machal rahe hain in aankhon mein aarzu ke sharar in aansuon mein numayan hain waqt ki lahren sunai deti hai rah rah ke zindagi ki pukar labon ko gar mili jumbish to naghma phut pada kabhi nashat ka jadu kabhi koi gham hai khamoshiyon mein hai iman-o-agahi ki jila umid-o-bim se aage naya hi aalam hai sahar ka nur hai us ki nigah mein 'anjum' zamin ke husn ko shadab karne aaya hai