‘adad riyazi ka khauf-o-dahshat ka zaida ban ke khuni panje nikale apna lahu ka pyasa chahaar-jaanib se war karta mohabbaton ko khurach raha hai ye khel kaisa ki sare jhagde ye zarb-o-taqsim jam’-o-tafriq bapa hue nafrat-o-mohabbat ke darmiyan jo shikast insaniyat ke hisse mein aa gai kyon ye rat-jagon ka shikar aankhen labaada-e-khauf mein lipat kar bhatak rahi hain khayal ki pechdar galiyon mein sochti hain ye khwab dekhen ya aagahi ka 'azab palkon ke nam likh kar parind-e-khush-rang khwab ke sab uda den apni munder se hum