dil pahadon par chala jae ki maidanon mein ho bhid mein logon ki ya khali shabistanon mein ho shor phir bhi tez tufanon ki surat har ghadi todta rahta hai khalwat-khwah sinon ka jumud reza reza ho gae meri tarah kitne wajud ab nahin mumkin kisi sahra mein majnun ka warud na-tawan shakhsiyaten barqi tawanai liye raat ke kale badan ko chat kar hain mutmain jal raha hai har shajar is shahr ka ab raat din ud rahe hain hath se toton ki surat sal-o-sin raushni ka rang jaise kuchh samajh aata nahin shahr ki tahzib ka rukh kis taraf hai kya pata aadmi sada hai ya khanjar-ba-kaf hai kya pata kis liye ye shor-e-mohmal saf-ba-saf hai kya pata main ne har andaz se samjha hai sare shahr ko shahr jo khwabon ke jangal ke siwa kuchh bhi nahin umr sari chhin kar jis ne diya kuchh bhi nahin jaise mere waste baqi raha kuchh bhi nahin apne galon par tamancha jad ke khush ho jaun mein aaj raushan qumqumon ke beach jaga ye shuur yun to har mausam ke chehre par numayan hain sutur ek parinda tak nahin lekin hawa mein dur dur machhliyan chhat par sikhane ke liye jab khwahishen sidhiyon par panw rakhti hain to aa jati hai chil thonk di jaegi ab shayad sabhi zehnon mein kil uth rahi hai har taraf jalte andheron ki fasil gerua kapdon mein lipta zard mustaqbil mujhe mashwara deta rahega aur main mar jaunga