wahi sada jo mere khun mein sarsaraati thi wo saya saya hai ab har kisi ki aankhon mein ye sarsarahaten sanpon ki sitiyon ki tarah siyahiyon ke samundar ki tah se mauj-ba-mauj hamari bikhri safon ki taraf lapakti hain badan hain barf, ragen rahguzar-e-reg-e-rawan kai to sahm ke chup ho gae hain surat-e-sang jo bach gae hain wo ek dusre ki gardan par jhapat pade hain misal-e-sagan-e-awara hawa guzarti hai sunsan siskiyon ki tarah sada-e-dard jo mere lahu mein larzan thi jhalak rahi hai wo ab be-shumar aankhon mein labon pe sukh gai harf-e-shauq ki shabnam kisi mein taqat-e-guftar agar kahin hai bhi to lafz aate hain honton pe hichkiyon ki tarah tarashiye to kai pattharon ke sinon mein shajar ki shakhon ke manind naqsh phaile hain par un ke reshon mein zauq-e-numu nahin malta koi nafeer ki jis ki nawa-e-hosh-nawaz dilon se dur kare sarsarahaton ka tilism koi umid ka paigham koi pyar ka ism wo khwab-e-parwarish-e-jaan ki jis pe sadqe hon jism