is bhare shahr mein koi aisa nahin jo mujhe rah chalte ko pahchan le aur aawaz de o be o sar-phire donon ek dusre se lipat kar wahin gird-o-pesh aur mahaul ko bhul kar galiyan den hansen hatha-pai karen pas ke ped ki chhanw mein baith kar ghanton ek dusre ki sunen aur kahen aur is nek ruhon ke bazar mein meri ye qimti be-baha zindagi ek din ke liye apna rukh mod le