tanhai

aaj apne kamre mein
kis qadar akela hun

sham ka dhundhlaka hai
sochta hun gin dalun

doston ke nakhun se
kitne zakhm khae hain

un ki samt se dil par
kitne tir aae hain

chaunk chaunk uthta hun
khansiyon ki aahat se

kash kuchh hawa chalti
khidkiyon ke pat hilte

tak raha hai aaina
shishiyon ki saf chup hai

tu hi bol tanhai
waqt har taraf chup hai

khidkiyon ki aaankhon se
aasman ko takta hun

aaj apne kamre mein
kis qadar akela hun

ghar ke samne ab bhi
ek rasta hoga

koi aa raha hoga
koi ja raha hoga

chhedti hi rahti hain
is khayal-e-qurbat ko

sad-hazar aawazen
aati hain ayaadat ko

munh se khun aata hai
kitni dur manzil hai

diq ki sar-phire naqid
kaun mera qatil hai

lafzon ki dukanon par
jazba-e-sadaqat kya

khun-e-dil diya main ne
khun-e-dil ki qimat kya

is pe kuchh buzurgon ki
mujrimana khamoshi

laeq-e-nazara hai
rifaton ki pasti bhi

rahbaron se shikwa hai
shauq se khafa hote

han magar taghaful mein
jurat-azma hote

aaj apne kamre mein
kis qadar akela hun

sirf dil dhadakta hai
han main phir bhi zinda hun

kyunki zindagi meri
ahd ki alamat hai

inqalab-e-farda ki
ek badi amanat hai

mere fan ki qindilen
hain dilon ki rahon par

bijliyan giraati hain
yas ki ghataon par

honton par tabassum ke
kuchh diye jalati hain

rang o nur o naghma ke
kuchh payam lati hain

lafzon ke katoron mein
ruh-e-asr bharti hain

aaj ke sawalon ka
hal talash karti hain

jab talak mahakta hai
gul-kada mere fan ka

ai yaqin-e-fasl-e-gul
fikr-e-jeb-o-daman kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close