samundar ki tah mein samundar ki sangin tah mein hai sanduq sanduq mein ek dibiya mein dibiya mein dibiya mein kitne maani ki subhen wo subhen ki jin par risalat ke dar-band apni shuaon mein jakdi hui kitni sahmi hui! (ye sanduq kyun kar gira? na jaane kisi ne churaya? hamare hi hathon se phisla? phisal kar gira? samundar ki tah mein magar kab? hamesha se pahle hamesha se bhi sal-ha-sal pahle? aur ab tak hai sanduq ke gird lafzon ki raaton ka pahra wo lafzon ki raaten jo dewon ki manind pani ke las-dar dewon ke manind ye lafzon ki raaten samundar ki tah mein to basti nahin hain magar apne la-raib pahre ki khatir wahin rengti hain shab o roz sanduq ke chaar su rengti hain samundar ki tah mein! bahut sochta hun kabhi ye maani ki pakiza subhon ki pariyan rihai ki ummid mein apne ghawwas jadu-garon ki sadaen sunengi?