Sar-guzisht-e-adam

sune koi meri ghurbat ki dastan mujh se
bhulaya qissa-e-paiman-e-awwalin mein ne
lagi na meri tabiat riyaz-e-jannat mein
piya shuur ka jab jam-e-atishin main ne
rahi haqiqat-e-alam ki justuju mujh ko
dikhaya auj-e-khayal-e-falak-nashin main ne
mila mizaj-e-taghayyur-pasand kuchh aisa
kiya qarar na zer-e-falak kahin main ne
nikala kabe se patthar ki muraton ko kabhi
kabhi buton ko banaya haram-nashin main ne
kabhi main zauq-e-takallum mein tur par pahuncha
chhupaya nur-e-azl zer-e-astin main ne
kabhi salib pe apnon ne mujh ko latkaya
kiya falak ko safar chhod kar zamin main ne
kabhi main ghaar-e-hira mein chhupa raha barson
diya jahan ko kabhi jam-e-akhrin main ne
sunaya hind mein aa kar surud-e-rabbani
pasand ki kabhi yunan ki sarzamin main ne
dayar-e-hind ne jis dam meri sada na suni
basaya khitta-e-japan o mulk-e-chin main ne
banaya zarron ki tarkib se kabhi aalam
khilaf-e-mani-e-talim-e-ahl-e-din main ne
lahu se lal kiya saikdon zaminon ko
jahan main chhed ke paikar-e-aql-o-din main ne
samajh mein aai haqiqat na jab sitaron ki
isi khayal mein raaten guzar din main ne
dara sakin na kalisa ki mujh ko talwaren
sikhaya masala-e-gardish-e-zamin main ne
kashish ka raaz huwaida kiya zamane par
laga ke aaina-e-aql-e-dur-bin main ne
kiya asir shuaon ko barq-e-muztar ko
bana di ghairat-e-jannat ye sarzamin main ne
magar khabar na mili aah raaz-e-hasti ki
kiya khirad se jahan ko tah-e-nagin main ne
hui jo chashm-e-mazahir-parast wa aakhir
to paya khana-e-dil mein use makin main ne
This is a great o piya shayari. True lovers of hindi shayari sms will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore murat shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close