sar pe chaDha rakha hai

main ne puchha ki ye kya haal bana rakha hai
na to make-up hai na baalon ko saja rakha hai

chhedti rahti hain aksar lab-o-rukhsaron ko
tum ne zulfon ko bahut sar pe chadha rakha hai

muskuraate hue us ne ye kaha shokhi se
ek diwane ne diwana bana rakha hai

jeb ghaeb hai to nefa hai batan ke badle
tum ne patlun ka pajama bana rakha hai

mashriqi rehn-sahn chaal-o-chalan maghrib ka
hum ne tahzib ka shir-khurma bana rakha hai

gar sila doge mujhe meri wafaon ke ewaz
mang lunga tumhein inam mein kya rakha hai

jo sabhi dekh chuke hum wo nahin dekhenge
wo dikhao hamein jo sab se chhupa rakha hai

un ko aghyar mohabbat se lagate hain gale
mujh ko apnon ne bhi begana bana rakha hai

zindagi maut ki tamhid hai par logon ne
mukhtasar baat ka afsana bana rakha hai

log bhulen na kabhi aisa takhallus rakhiye
nam to nam hai bas nam mein kya rakha hai

qafiye aur radifon-o-takhallus ke siwa
'khwah-makhwah' aap ke ashaar mein kya rakha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close