mere shanon pe tera sar tha nigahen namnak ab to ek yaad si baqi hai so wo bhi kya hai ghar gaya zehn gham-e-zist ke andazon mein har hatheli pe dhare soch raha hun baitha kash us waqt koi pir-e-khamida aa kar kisi aazurda tabiat ka fasana kahta ek dhundlaka sa hai dam tod chuka hai suraj din ke daman pe hain dhabbe se riya-kari ke aur maghrib ki fana-gah mein phaila hua khun dabta jata hai siyahi ki tahon ke niche dur talab ke nazdik wo sukhi si babul chand tute hue viran makanon se pare hath phailae barahna si khadi hai khamosh jaise ghurbat mein musafir ko sahaara na mile us ke pichhe se jhijakta hua ek gol sa chand ubhra be-nur shuaon ke safine ko liye main abhi soch raha hun ki agar tu mil jae zindagi-go hai giran-bar pa itni na rahe chand aansu gham-e-giti ke liye chand nafas ek ghaw hai jise yun hi siye jate hain main agar ji bhi raha hun to tajjub kya hai mujh se lakhon hain jo be-sud jiye jate hain koi markaz hi nahin mere takhayyul ke liye is se kya faeda jite rahe aur ji na sake ab irada hai ki patthar ke sanam pujunga taki ghabraun to takra bhi sakun mar bhi sakun aise insanon se patthar ke sanam achchhe hain un ke qadmon pe machalta ho damakta hua khun aur wo meri mohabbat pe kabhi hans na saken main bhi be-rang nigahon ki shikayat na karun ya kahin gosha-e-ahram ke sannate mein ja ke khwabida farain se itna puchhun har zamane mein kai the ki khuda ek hi tha ab to itne hain ki hairan hun kis ko pujun ab to maghrib ki fana-gah mein wo sog nahin aks tahrir hai ek raat ka halka halka aur pur-soz dhundalke se wahi gol sa chand apni be-nur shuaon ka safina kheta ubhra namnak nigahon se mujhe takta hua jaise ghul kar mere aansu mein badal jaega hath phailae udhar dekh rahi hai wo babul sochti hogi koi mujh sa hai ye bhi tanha aaina ban ke shab-o-roz taka karta hai kaisa talab hai jo us ko hara kar na saka yun guzare se guzar jaenge din apne bhi par ye hasrat hi rahegi ki guzare na gae khun pi pi ke pila karti hai angur ki bel gar yahi rang-e-tamanna tha chalo yunhi sahi khun piti rahi badhti rahi konpal konpal chhanw taron ki shagufon ko numu deti rahi narm shakhon ko thapakte rahe ayyam ke hath yunhi din bit gae subh hui sham hui ab magar yaad nahin kya tha maal-e-ummid ek tahrir hai halki si lahu ki baqi bel phalti hai to kanton ko chhupa leti hai zindagi apni pareshan thi pareshan hi rahi chahta ye tha mere zakhm ke angur bandhen ye na chaha tha mera jam-e-tahi rah jae hath phailae udhar dekh rahi hai wo babul sochti hogi koi mujh sa hai ye bhi tanha ghir gaya zehn gham-e-zist ke andazon mein kaisa talab hai jo us ko hara kar na saka kash is waqt koi pir-e-khamida aa kar mere shanon ko thapakta gham-e-tanhai mein