samajhdar shair ne ahl-e-sitam ki samaat ke dar ko bahut zor se khatkhataya falak ke badan se lahu ris raha tha jise dekh kar ye zamin khun-alud qai kar rahi thi janaze bhi qabron se bahar nikalne lage the ye barud se khun ham-bistari karne ke baad viran raste pe phaila hua tha mashaqqat ka girya junhi hichkiyon mein badalne laga tha to fauran pahadon ne apni jagah chhod di thi ye sun ke sitam karne walon ki murda zabanon mein jumbish hui jhut bakta hai shair yahan kuchh bhi aisa nahin hai falak to samundar ke rangon mein ranga hua hai zamin sabz thi sabz hai aur hari hi rahegi yahan khun ki surkhi bilkul nahin hai yahan sab hara hi hara hai wo zill-e-ilahi wo jaan ki aman dene wale shahanshah-e-alam ne hum ko ye sab kuchh bataya khuda hum ko bakhshe hamare shahanshah-e-alam ki aisi zaban-e-muqaddas hai jis par kabhi jhut renga nahin hai phir ek dam unhi zulm ke na-khudaon ki aankhen barasne lagin jab unhen yaad aaya ki zill-e-ilahi to sawan mein andhe hue the