koyal ki surili tanon par tham tham ke papiha gata hai hal ho ke hawa ki lahron mein sawan ka mahina aata hai thandi purwa kala baadal barsa to barasta jata hai bundon ki musalsal choton se patta patta tharraata hai aise mein koi yaad aata hai aise mein koi yaad aata hai ghanghor ghata bijli pani dil sine mein lahraata hai sahra mein hawa bal khati hai baadal ko saba sankati hai pani se zamin narmati hai sabzon se faza lahraati hai rim-jhim rim-jhim tham tham tham tham bundon ki sada jab aati hai har bund se dil ke taron par ek chot si padti jati hai aise mein koi yaad aata hai aise mein koi yaad aata hai ghanghor ghata bijli pani dil sine mein lahraata hai badli ke dinon mai-khwanon mein sahba ki rawani kya kahna raaton ki sharab-o-shahid se palkon ki girani kya kahna har waqt suhana kya kahna har raat suhani kya kahna barsat ke bhige lamhon mein shadab jawani kya kahna aise mein koi yaad aata hai aise mein koi yaad aata hai ghanghor ghata bijli pani dil sine mein lahraata hai rangin gulshan rangi sahra rangi duniya rangi baaten nache khelen dauden bhagen raaton jagen nindon maten kya qahr hai zalim barsaten kya qahr hai zalim barsaten bhigi duniya bhigi sansen bhige arman bhigi raaten aise mein koi yaad aata hai aise mein koi yaad aata hai ghanghor ghata bijli pani dil sine mein lahraata hai sawan jo chadha phir baghon aur jhulon ki baaten hoti hain gulshan ki rangin sairon mein kuchh rangin dhaten hoti hain jab ahd-e-jawani ki thandi thandi barsaten hoti hain matwali umren hoti hain matwali raaten hoti hain aise mein koi yaad aata hai aise mein koi yaad aata hai ghanghor ghata bijli pani dil sine mein lahraata hai