jago sone walo jago waqt ke khone walo jago bagh mein chidiyan bol rahi hain kaliyan aanhken khol rahi hain phul khushi se jhum rahe hain patton ka munh chum rahe hain jag uthe dariya aur nahren jag uthin maujen aur lahren naw chalane wale jage par lagane wale jage sari duniya jag rahi hai kaam ki jaanib bhag rahi hai likhne padhne walo jago phulne badhne walo jago munh dho-dha kar nashta khao basta le kar madrase jao subh ka sona khub nahin hai achchha ye uslub nahin hai jago sone walo jago waqt ke khone walo jago